(dedicated to all those who matter for me)
kaisi hain yeh kashmakash-
jaagta toh hoon har sehar
par sapne me hi -
chor aata hoon ahsaas..
dhadakta hain dil
aur thak jaata hain paair
phir bhi dhua sa hain maanzil
mukammal har pehar..
shabd toh bohot hain idhaar -
nagme sarey tumhaare paas,
jee rahe hain hum-
par tum,
tum , nahi ho paas.
sayaa toh abhi bhi zinda hain
par filhaal mere sang nahi ,
thodi si hi pyaar aab mehfuz hain ,
par sach mein - koi mehram nahi.
lamhe toh aate hain aaj bhi
par lautte nahi woh pal,
aaj toh beet gaye yuhi ,
kuchh aisey hi jee loonga kal.
dur rehne ki aadat hain jab
paas aane ka kya matlab ?
bhulna chahta hoon main aab
khatti meethi yaadein sab .
ab gar tum aa bhi jao,
patte paoge , shabnam nahi,
sirf zakhmm se hi bhara hoon main,
marham ka pataa yaad nahi.
~SDG
No comments:
Post a Comment