Facebook Badge

Tuesday, September 13, 2011

DO NAZME BIN AAPKE by SDG

1

Jis rastey pe hum kadam rakhtey the

tumhari khayalo mein doobey huye...

Aaj wohi gali se guzartey hain hum.....

judaai ka gam seeney me liye....

2

Woh badalo ka ghana hona…

Woh fizao ka sargam sunana…

aaj bhi mehfuz hain woh…

Baarish aaney ka tarikha purana..

Par woh baarish ki anokhi mahek

lagta hain paani ke sang behgayi hain jaisey…

woh falak par satrangi ka muskurahaat…

lagta hain baaarish ki tarha khatm ho gayi hain jaisey..

woh baarish ke intezaar mein nazmo ke liye lafzey chunna..

lagta hain baarish mein sukha rehne ki koshish ki tarha

fizul ho gayi hain jaisey.

Woh badalo ka ghana hona…

Woh fizao ka sargam sunana…

aaj bhi mehfuz hain woh…

Baarish aaney ka tarikha purana..

No comments:

Post a Comment