Aap ke alfaaz , aap ke nazm ki aadaa
Asaar rakh hi gayi meri shayari mein..
Haal-e-dil akhir bayaan kaisey karoon.
shraddhanjali aapko , nahi diye huye…
inspired by GULZAR
Kavi ki Jazbaat dum torte nahi ..
Reh jaati hain sadaa..
kisi nazm ke ruh baanke..
Barso se chupaye huye jazbaat..
Aur Ankahi kuch baat..
Yuhi panah se nikalkar aaj
sunayegi kagaz ko
khudke khayalat..
Ek bujti huyi rishtein ki parchayi mein khadi hain zindagi meri,
Na muskurati hain woh naye mausam ke khushi mein,
na ro sakti hain woh judaai ke puraane ghaam mein.
Na chal sakte hain kadam , na kisiki aahat pe rukte hain woh ,
Na khwab dekhti hain nigahe , na haqiqat seh sakti hain woh.
Na iye hoth chipa sakti hain dard , na keh sakti hain kisiko.
Veeran mehfiley yaha sajte hain roz-khamosh sa dhun sunate huye.
Ruthe huye manzil tadpate hain roz bhuli huyi guftagoo daurate huye.
garaz rahe the Badal kayi dino se-
baarish aaj hi layi hain alfaaz..
Sukhi huyi mitti ke seene mein jaisey..
nazmo ki bheegi boondo ki awaaz..
No comments:
Post a Comment