Facebook Badge

Saturday, March 10, 2012

Ek mamooli sa sthir chitra

achanak ek khayal aaya..
ke tasveer banayunga koi , haseen sa.

toh ek kam kiya maine-

mutthi bhar neela asmaan leke
bichaa diya kagaaz ke seene mein ;
phir kuch panchiyo ko pinjre se nikaala
aur chor diya usmein udne ko.
purnima ke haseen chanda ko bhi,
manake laya iss khuley ashiyaane mein.

ud rhi thi nidar panchiya
azaadi ke jashn mein,
dhundhte huye raah nayi,
mehkti huyi chandni mein.
asmaan bhi
khush tha bohat,
badalo ke jumbish se.

magar huya kuch yuh-

jis bijli ke khambe ke niche baitha tha main,
usey kisi bhi tarah tok na saka,
aankhir aa hi gayi utarke woh
mere tasabbor par,
layi sang , do tar.

....bas....

chand lamho mein hi
tham gayi
hayaat ki khushrang bauchaad..

ek mamooli sa sthir chitra ban ke
reh gaya mere azaad khayalo ka ghar.





No comments:

Post a Comment